Showing posts with label Jaun Eliya Poetry. Show all posts
Showing posts with label Jaun Eliya Poetry. Show all posts

Friday, 27 April 2018

Aadmi waqt par gaya hoga,


Aadmi waqt par gaya hoga,
waqt pahle guzar gaya hoga.
Woh humari taraf na dekh ke bhi.
koi ehsaan dhar gaya hoga.
Khud se maayus ho ke baitha hoon,
aaj har shakhs mar gaya hoga.
Shaam tere dayar mein aakhir,
koi toh apne ghar gaya hoga.
Marham-e hijr tha ajab iksir,
ab toh har zakhm bhar gaya hoga. !!

Aaj lab-e guhar-fishan aap ne waa nahin kiya


Aaj lab-e guhar-fishan aap ne waa nahin kiya,
tazkira-e khajista-e ab-o hawa nahin kiya.

Kaise kahen ki tujh ko bhi hum se hai wasta koi,
tune toh hum se aaj tak koi gila nahin kiya.

Jaane teri nahin ke saath kitne hi jabr the ki the,
maine tere lihaaz mein tera kaha nahin kiya.

Mujh ko ye hosh hi na tha tu mere baazuon mein hai,
yaani tujhe abhi talak maine riha nahin kiya.

Tu bhi kisi ke baab mein ahd-shikan ho ghaliban,
maine bhi ek shakhs ka qarz ada nahin kiya.

Haan woh nigaah-e naaz bhi ab nahin majra-talab
hum ne bhi ab ki fasl mein shor bapa nahin kiya. !

آخری بار آہ کر لی ہے

آخری بار آہ کر لی ہے

میں نے خود سے نباہ کر لی ہے

اپنے سر اک بلا تو لینی تھی

میں نے وہ زلف اپنے سر لی ہے

دن بھلا کس طرح گزارو گے

وصل کی شب بھی اب گزر لی ہے

جاں نثاروں پہ وار کیا کرنا

میں نے بس ہاتھ میں سپر لی ہے

جو بھی مانگو ادھار دوں گا میں

اس گلی میں دکان کر لی ہے

میرا کشکول کب سے خالی تھا

میں نے اس میں شراب بھر لی ہے

اور تو کچھ نہیں کیا میں نے

اپنی حالت تباہ کر لی ہے

شیخ آیا تھا محتسب کو لیے

میں نے بھی ان کی وہ خبر لی ہے

Aap Apna Ghubar The Hum Toh

Aap apna ghubar the hum toh,
yaad the yaadgar the hum toh.

Pardagi hum se kyon rakha parda,
tere hi pardadaar the hum toh.

Waqt ki dhoop mein tumhare liye,
shajar-e saayadaar the hum toh.

Ude jaate hain dhool ke maanind,
aandhiyon par sawaar the hum toh.

Hum ne kyon khud pe aitbaar kiya,
sakht be’aitbaar the hum toh.

Sharam hai apni baar baari ki,
be’sabab baar baar the hum toh.

Kyon humein kar diya gaya majboor,
khud hi be’ikhtiyaar the hum toh.

Tumne kaise bhula diya hum ko,
tum se hi mustaar the hum toh.

Khush na aaya hamein jiye jaana,
lamhe lamhe pe baar the hum toh.

Seh bhi lete humare taano ko,
jaaneman jaan’nisaar the hum toh.

Khud ko dauraan-e haal mein apne,
betarah naagawaar the hum toh.

Tumne hum ko bhi kar diya barbaad,
naadir-e rozgaar the hum toh.

Hum ko yaaron ne yaad bhi na rakha,
Jaun’ yaaron ke yaar the hum toh. !!