Friday, 27 April 2018

Zabaan sukhan ko sukhan baankpan ko tarsega

Zabaan sukhan ko sukhan baankpan ko tarsega,
sukhan-kada meri tarz-e-sukhan ko tarsega.

Naye pyaale sahi tere daur mein saaqi,
ye daur meri sharaab-e-kuhan ko tarsega.

Mujhe toh khair watan chhod kar aman na mili,
watan bhi mujh se ghareeb-ul-watan ko tarsega.

Inhi ke dum se farozaan hain millaton ke charaagh,
zamaana sohbat-e-arbaab-e-fan ko tarsega.

Badal sako toh badal do ye baaghbaan warna,
ye baagh saaya-e-sarw-o-saman ko tarsega.

Hawa-e-zulm yehi hai toh dekhna ek din,
zameen paani ko sooraj kiran ko tarsega. !!

No comments:

Post a Comment